Aadmi KHud Ko Bhala Kaise Bacha Le Jaega

aadmi KHud ko bhala kaise bacha le jaega

jis jagah marna hai us ko hadisa le jaega

main agar tufan se bach bhi gaya to kya hua

meri kashti ko bhanwar mein na-KHuda le jaega

aaj phir zaKHm-e-jigar taza hai pahle ki tarah

aaj phir mujh ko tera gham mai-kada le jaega

aaD mein tafrih ki tum chhoD do aiyyashiyan

warna phir pani samundar ka baha le jaega

aadmi ke sath jaenge faqat us ke amal

aur apne sath wo duniya se kya le jaega

kis liye fariyaad le ke jaun main munsif ke pas

jab sitamgar apne haq mein faisla le jaega

soch ai insan teri hasti ki hai kitni bisat

tujh ko jab tufan ka ek jhonka uDa le jaega

us ke sar pe aafiyat ka saeban hoga zarur

sath jo KHanjar buzurgon ki dua le jaega

(388) Peoples Rate This

Khanjar Ghazipuri's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Aadmi KHud Ko Bhala Kaise Bacha Le Jaega In English By Famous Poet Khanjar Ghazipuri. Aadmi KHud Ko Bhala Kaise Bacha Le Jaega is written by Khanjar Ghazipuri. Read famous Poem Aadmi KHud Ko Bhala Kaise Bacha Le Jaega for youth and Student by Khanjar Ghazipuri. Free Download Aadmi KHud Ko Bhala Kaise Bacha Le Jaega in PDF.