Tere Sitam Ki Zamana Duhai Deta Hai

tere sitam ki zamana duhai deta hai

kabhi ye shor tujhe bhi sunai deta hai

shajar se TuTne wale har ek patte mein

tere bichhaDne ka manzar dikhai deta hai

jo dil mein baat ho khulti nahin kisi pe magar

kahe jo aankh wo sab ko sunai deta hai

main iKHtiyar tumhein apna saunp dun kaise

kabhi KHuda bhi kisi ko KHudai deta hai

udas raat ke aangan mein Dubta saya

bichhaDne wale ka paikar dikhai deta hai

KHizan-mizaj hai wo chhoD do use 'KHawar'

wo mausamon ke safar mein judai deta hai

(473) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Sitam Ki Zamana Duhai Deta Hai In English By Famous Poet Khaqan Khavar. Tere Sitam Ki Zamana Duhai Deta Hai is written by Khaqan Khavar. Read famous Poem Tere Sitam Ki Zamana Duhai Deta Hai for youth and Student by Khaqan Khavar. Free Download Tere Sitam Ki Zamana Duhai Deta Hai in PDF.