Wahi Hai Nafs-e-mazmun Sirf Tadbiren Badalti Hain

wahi hai nafs-e-mazmun sirf tadbiren badalti hain

huzur-e-dost kya kya apni taqriren badalti hain

ye nagri husn walon ki ajab nagri hai ai hamdam

ki is nagri mein aahon ki bhi tasiren badalti hain

na itra ai dil-e-nadan kisi ke ahd-o-paiman par

ki qaul o fel kya logon ki tahriren badalti hain

KHudai ka agar karte hain dawa but nahin beja

nigah-e-lutf se dekhen to taqdiren badalti hain

koi saffak jab didon mein dide Dal deta hai

to dil se dil nahin ulfat ki jagiren badalti hain

kisi kafir ke yaad aate hain andaz-o-ada jis dam

nazar ke samne kitni hi taswiren badalti hain

kisi par barq girti hai koi chaDhta hai suli par

ba-qadar-e-zauq-e-mujrim 'KHar' taziren badalti hain

(450) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wahi Hai Nafs-e-mazmun Sirf Tadbiren Badalti Hain In English By Famous Poet Khar Dehlavi. Wahi Hai Nafs-e-mazmun Sirf Tadbiren Badalti Hain is written by Khar Dehlavi. Read famous Poem Wahi Hai Nafs-e-mazmun Sirf Tadbiren Badalti Hain for youth and Student by Khar Dehlavi. Free Download Wahi Hai Nafs-e-mazmun Sirf Tadbiren Badalti Hain in PDF.