Insan Hun Ghir Gaya Hun Zamin Ke KHudaon Mein

insan hun ghir gaya hun zamin ke KHudaon mein

ab bastiyan basaunga ja kar KHalaon mein

yaadon ke naqsh kanda hain namon ke rup mein

hum ne bhi din guzare daraKHton ki chhanw mein

dauDa ragon mein KHun ki tarah shor shahr ka

KHamoshiyon ne chhin liya chain ganw mein

yun to rawan hain mere taaqub mein manzilen

lekin main Thokaron ko lapeTe hun panw mein

wo aa ke chal diye hain KHayalon main gum raha

qadmon ki chap dab gai dil ki sadaon mein

sar rakh ke so gaya hun ghamon ki salib par

shayad ki KHwab le uDen hansti fazaon mein

ek ek kar ke log nikal aae dhup mein

jalne lage the jaise sabhi ghar ki chhanw mein

sahra ki pyas le ke chala jin ke sath sath

pani ki ek bund na thi un ghaTaon mein

jalte gulab mein na zara si bhi aanch thi

hum to jale hain hijr ki ThanDi KHizaon mein

(382) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Insan Hun Ghir Gaya Hun Zamin Ke KHudaon Mein In English By Famous Poet Khatir Ghaznavi. Insan Hun Ghir Gaya Hun Zamin Ke KHudaon Mein is written by Khatir Ghaznavi. Read famous Poem Insan Hun Ghir Gaya Hun Zamin Ke KHudaon Mein for youth and Student by Khatir Ghaznavi. Free Download Insan Hun Ghir Gaya Hun Zamin Ke KHudaon Mein in PDF.