Karam Ho Ya Sitam Sar Apna KHam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi

karam ho ya sitam sar apna KHam yun bhi hai aur yun bhi

tera diwana to sabit-qadam yun bhi hai aur yun bhi

jafa ho ya wafa us ka karam yun bhi aur yun bhi

nawazish roz-o-shab aur dam-ba-dam yun bhi hai aur yun bhi

bhula den ya karen hum yaad-e-gham yun bhi hai aur yun bhi

kisi ke hijr mein KHud chashm-e-nam yun bhi hai aur yun bhi

hayat-o-maut ka maqsad samajh mein aa nahin sakta

wagarna aadmi majbur-e-gham yun bhi hai aur yun bhi

mili rone se jab fursat to aansu pi liye hum ne

mohabbat ke liye goya bharam yun bhi hai aur yun bhi

baghawat koi karta hai raza par hai koi qail

wo hai mabud us ka to karam yun bhi hai aur yun bhi

nigah-e-naz se wo dekh kar nazren churaata hai

hamara dil 'KHizar' mashq-e-sitam yun bhi hai aur yun bhi

(482) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karam Ho Ya Sitam Sar Apna KHam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi In English By Famous Poet Khizr Barni. Karam Ho Ya Sitam Sar Apna KHam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi is written by Khizr Barni. Read famous Poem Karam Ho Ya Sitam Sar Apna KHam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi for youth and Student by Khizr Barni. Free Download Karam Ho Ya Sitam Sar Apna KHam Yun Bhi Hai Aur Yun Bhi in PDF.