Sarangi Aur Tabla

duniya-bhar ke be-fikron ne kal bazm-e-surud sajai thi

kya dil ko masalta tha tabla kya sarangi ghabrai thi

bismil ki rag-e-jaan banti thi taus ki taren larzish se

chae ka pyala daur mein tha huqqe ne dhum machai thi

rindon ne jhanDe gaDe the zabbaad ne Dere Dale the

is dair o haram ki mahfil mein mausiqi gane aai thi

han ashkon se pur sarangi wan pech-o-tab mein tha tabla

gaz-bhar ki zaban yan chalti thi wan hathon ki ban aai thi

wan thap ke abr garajte the naghmon ki phuwaren paDti thin

yan har dil par mausiqi ke kohre ne qanat lagai thi

uDti thin faza-bhar mein tanen thi chaal saba ki mastana

taqdir se bich mein donon ke ja baiTha shaer-e-diwana

sarangi bole table se tum yunhi shor machate ho

ai munh-phaT table diwane kyun kan hamare khate ho

aawaz tumhaari kawwe si aur shakl chhalawe si teri

in miThi miThi tanon ke tum rang mein bhang milate ho

lanat hai tumhaare jine par aaram nahin izzat bhi nahin

main godon mein ja phailti hun tum sar apna piTwate ho

hai KHam abhi tak ishq tera kuchh sabr nahin kuchh tab nahin

yan tan aDi ek miThi si wan tham ke dil rah jate ho

main raj-dulari albeli nari hun prem-kanhiya hun

tum munDi-kaTe mardak ho barja par dhakke khate ho

tahzib tumhein manzur nahin aur aql kahin dastur nahin

tum bhim ki tanon mein bahar kyun aape se ho jate ho

nazon se pali shahzadi hun main nari mahlon wali hun

tum jis dawam ke qaidi ho sanduqon mein DaT jate ho

jab sarangi ne table se yun dil-shikni ka kalam kiya

kuchh der to wo KHamosh raha phir bhabhi-jaan ko salam kiya

yun kahne laga sarangi se jalti par tel giraati ho

hum ranj-o-alam ke mare hain tum aakar aur satati ho

mushtaq se munh phera kyun hai phir tum ne hamein aa ghera kyun

rahne do ise chup majburan kyun meri zaban khulwati ho

main ranjibar ka shahzada maidan mein aakar zaigham sa

jab ek dahaD lagata hun tum pardon mein Dar jati ho

paiman-e-wafa jis se bandhun main pas usi ke rahta hun

tum harjai ho har ek ke pahlu mein dil bahlati ho

kuchh lutf hai sina-kobi mein sar phoDne mein ham-maston ko

bi-bi ye ishq ke zewar hain tum yunhi hum ko banati ho

izzat pe hamari harf-zani allah ghani allah ghani

wo waqt baDi-bi bhul gain jab kaam apne kachhwati ho

main teri shamim-e-naghma ko manind-e-nasim uData hun

ye meri thap ki barkat hai dil bazm mein masle jati hun

jab laDke mil kar gate hain irfan ki tanen uDate hain

hathon se mez bajate hain tum yaad kab un ko aati ho

hai malka-e-mausiqi se mujhe nazdik-tarin tujh se rishta

hum rah pe tujh ko late hain jab lai mein bhaTak si jati ho

main aazar ishq ki tabish se dil mahfil ke garmata hun

taus tambure ko taj kar din mein tare dikhlata hun

ye sun kar shamsuddin Dare talwar mabaada chal jae

yan tabla taDapta rah jae sarangi roti rah jae

chumkar ke sarangi se kaha tum sidhi-sadi bholi ho

zeba nahin gar yun munh mein tere an-jaanon ki si boli ho

table ke wakil-e-mutlaq ne wan hath se us ko samjhaya

achchha nahin KHun ki lahron se gar mahfil-bhar mein holi ho

tum zenjibar ke shahzade sarangi sarangi Thahri

phabti hi nahin shahzadon ke gar aisi boli Tholi ho

KHamosh huin bi-sarangi aur tabla summun-bukmun tha

yun jaise kisi ne zaban apni kausar ke aab se dho li ho

al-qissa bichhDe dost mile nai jhagDa tha nai shikwa tha

nai tan-tana-tan-tan-tan thi takaD-dhayya-dhayya tha

(461) Peoples Rate This

Related Poetry

Khizr Tameemi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Sarangi Aur Tabla In English By Famous Poet Khizr Tameemi. Sarangi Aur Tabla is written by Khizr Tameemi. Read famous Poem Sarangi Aur Tabla for youth and Student by Khizr Tameemi. Free Download Sarangi Aur Tabla in PDF.