Gham Duniya Bahut Iza-rasan Hai

gham duniya bahut iza-rasan hai

kahan hai ai gham-e-jaanan kahan hai

ek aansu kah gaya sab haal dil ka

na samjha tha ye zalim be-zaban hai

KHuda mahfuz rakhte aafaton se

kai din se tabiat shadman hai

wo kanTa hai jo chubh kar TuT jae

mohabbat ki bas itni dastan hai

ye mana zindagi kaamil hai lekin

agar aa jae jina jawedan hai

salam aaKHir hai ahl-e-anjuman ko

KHumar ab KHatm apni dastan hai

(417) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Duniya Bahut Iza-rasan Hai In English By Famous Poet Khumar Barabankavi. Gham Duniya Bahut Iza-rasan Hai is written by Khumar Barabankavi. Read famous Poem Gham Duniya Bahut Iza-rasan Hai for youth and Student by Khumar Barabankavi. Free Download Gham Duniya Bahut Iza-rasan Hai in PDF.