Mujhko Shikast-e-dil Ka Maza Yaad Aa Gaya
mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya
tum kyun udas ho gae kya yaad aa gaya
kahne ko zindagi thi bahut muKHtasar magar
kuchh yun basar hui ki KHuda yaad aa gaya
waiz salam le ki chala mai-kade ko main
firdaus-e-gum-shuda ka pata yaad aa gaya
barse baghair hi jo ghaTa ghir ke khul gai
ek bewafa ka ahd-e-wafa yaad aa gaya
mangenge ab dua ki use bhul jaen hum
lekin jo wo ba-waqt-e-dua yaad aa gaya
hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'KHumar'
kya baat ho gai jo KHuda yaad aa gaya
(479) Peoples Rate This
Fatal error: Uncaught PDOException: SQLSTATE[42S22]: Column not found: 1054 Unknown column 'id' in 'ORDER BY' in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php:544 Stack trace: #0 /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php(544): PDOStatement->execute() #1 {main} thrown in /home/darsaal/htdocs/darsaal.com/poetry/poem_en.php on line 544
Khumar Barabankavi