Hikayaton Se Fasanon Se Ret UDti Hai

hikayaton se fasanon se ret uDti hai

yahan qadim zamanon se ret uDti hai

nasheb-e-jaan se umaDte hain taza-rau dariya

buland-baam makanon se ret uDti hai

lapak alag hai chamak aur hai lalak hai juda

ye kaisi kaisi uThanon se ret uDti hai

yahan kitabon se jhaDti hain bhurnhuri sadiyan

aur ek shelf ke KHanon se ret uDti hai

ba-najd KHatir-e-majnun wara-e-shauq-o-junun

uDe to kitne bahanon se ret uDti hai

hamari naqsh-numai ko chaTne ke liye

tere tamam jahanon se ret uDti hai

yahin kahin the wo lahren uchhaalne wale

hamare dil mein zamanon se ret uDti hai

(370) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hikayaton Se Fasanon Se Ret UDti Hai In English By Famous Poet Khumar Pirzada. Hikayaton Se Fasanon Se Ret UDti Hai is written by Khumar Pirzada. Read famous Poem Hikayaton Se Fasanon Se Ret UDti Hai for youth and Student by Khumar Pirzada. Free Download Hikayaton Se Fasanon Se Ret UDti Hai in PDF.