Ghar Mein Kaisa Shafaqistan Ka Saman Tha Pahle

ghar mein kaisa shafaqistan ka saman tha pahle

mauj-e-sad-rang mein be-KHwab jahan tha pahle

kis khanDar mein hamein mahbus hawa le aai

shab ke sine mein bhi mahfuz makan tha pahle

baadban kashtiyan phir mauj-e-hawa ki raunaq

kaun kis haal mein aur kaun kahan tha pahle

zina-e-sham pe rakkha hai charagh-e-KHasta

jis ki rag rag mein rawan zard dhuan tha pahle

ab taraf ta-ba-taraf chhai hai bas gum-shudagi

istiara hai alamat hai ayan tha pahle

(393) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghar Mein Kaisa Shafaqistan Ka Saman Tha Pahle In English By Famous Poet Khumar Qureshi. Ghar Mein Kaisa Shafaqistan Ka Saman Tha Pahle is written by Khumar Qureshi. Read famous Poem Ghar Mein Kaisa Shafaqistan Ka Saman Tha Pahle for youth and Student by Khumar Qureshi. Free Download Ghar Mein Kaisa Shafaqistan Ka Saman Tha Pahle in PDF.