Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai

kya lutf masafat mein ki Dar koi nahin hai

pani ka safar aur bhanwar koi nahin hai

phir kaun hai sahil pe jo rukne nahin deta

viran jaziron mein agar koi nahin hai

ek chap utarti hai dar-e-dil pe har ek shab

dekha hai kai bar magar koi nahin hai

tum meri masafat ke liye aaKHiri had ho

ab tum se pare rahguzar koi nahin hai

har shaKHs hai jaise koi viran haweli

likkha hai ye mathon pe ki ghar koi nahin hai

hai apne muqaddar mein yahi tirgi 'KHurram'

ab raat ke daman mein sahar koi nahin hai

(387) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai In English By Famous Poet Khurram Khaleeq. Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai is written by Khurram Khaleeq. Read famous Poem Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai for youth and Student by Khurram Khaleeq. Free Download Kya Lutf Masafat Mein Ki Dar Koi Nahin Hai in PDF.