Kabhi Sitara Kabhi Ramz-o-istiara Hua

kabhi sitara kabhi ramz-o-istiara hua

ajib Dhang se wo mujh pe aashkara hua

sabhi ne aaina dekha abhi musallam tha

teri nigah paDi aur para para hua

rakha gaya hai hifazat se self mein mujh ko

ki jaise main bhi KHususi koi shumara hua

hamin ne aag lagai thi apne daman mein

phir us ke baad na aansu koi sharara hua

lahu ka qatra tha wo bhi jo apni gardish mein

kahin charagh bana aur kahin sitara hua

tere jamal ka sauda to kar liya lekin

kabhi nigah kabhi jaan ka KHasara hua

nafas nafas teri hamsaegi mili mujh ko

main tera parda hua tu mera nazara hua

(349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabhi Sitara Kabhi Ramz-o-istiara Hua In English By Famous Poet Khursheed Afsar Baswani. Kabhi Sitara Kabhi Ramz-o-istiara Hua is written by Khursheed Afsar Baswani. Read famous Poem Kabhi Sitara Kabhi Ramz-o-istiara Hua for youth and Student by Khursheed Afsar Baswani. Free Download Kabhi Sitara Kabhi Ramz-o-istiara Hua in PDF.