Asbab Kahan Jaan-e-jahan Dekhte Rahna

asbab kahan jaan-e-jahan dekhte rahna

KHali koi dam hai ye makan dekhte rahna

ta-umr tere shahr mein rahna bhi nahin hai

milti hai kahan ja-e-aman dekhte rahna

palkon pe koi hai lab-e-izhaar ki surat

rakhta hun main KHanjar pe zaban dekhte rahna

aansu mere bachchon ki tarah KHun se khelen

kuchh khel nahin ghar ka ziyan dekhte rahna

ek arsa-e-jaan tak hi ye manzar nahin mauquf

phir qissa-e-alam hai dhuan dekhte rahna

bauchhaar hai tiron ki wo rahwar akela

kitna hai shitabi ye saman dekhte rahna

duniya kisi maqtal mein hai zindon ki gawahi

jate hain kahan pir o jawan dekhte rahna

hogi kisi manjdhaar ke sine pe meri naw

dariya hai mere sath rawan dekhte rahna

tarik ufuq par wo ajab shan se nikla

'KHurshid' se raushan hai jahan dekhte rahna

(318) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asbab Kahan Jaan-e-jahan Dekhte Rahna In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Asbab Kahan Jaan-e-jahan Dekhte Rahna is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Asbab Kahan Jaan-e-jahan Dekhte Rahna for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Asbab Kahan Jaan-e-jahan Dekhte Rahna in PDF.