Kab Kisi Gahre Samundar Ko Hawa Samjhegi

kab kisi gahre samundar ko hawa samjhegi

sath par tairti maujon ko nawa samjhegi

do badan dard ki lahron pe bhi mil sakte hain

is risalat ko kahan baad-e-saba samjhegi

ruh ka zaKHm na paDh paega gautam phir bhi

wo pujaran isi patthar ko KHuda samjhegi

waqt kafir ki KHudai hai gunahgar bahut

sari masum namazon ko qaza samjhegi

is haweli ki riwayat hi sharifana hai

KHud ko nilam chaDha kar bhi baja samjhegi

jaane kab utrega 'KHurshid'-e-bashaarat mujh mein

kab ye tanhai mujhe ghaar-e-hira samjhegi

(277) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Kisi Gahre Samundar Ko Hawa Samjhegi In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Kab Kisi Gahre Samundar Ko Hawa Samjhegi is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Kab Kisi Gahre Samundar Ko Hawa Samjhegi for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Kab Kisi Gahre Samundar Ko Hawa Samjhegi in PDF.