Shahr Ka Shahr Hai Be-zar Kahan Jaun Main

shahr ka shahr hai be-zar kahan jaun main

aur tanhai hai dushwar kahan jaun main

log marte hain sisakte hain maze lete hain

dekh kar surKHi-e-aKHbar kahan jaun main

tu jo kahta hai ki ye KHak-e-watan teri hai

main kahan par hun mere yar kahan jaun main

ek inkar pe mauquf hain sare qisse

main kahan sahab-e-kirdar kahan jaun main

mujh ko rishton ki tijarat kabhi manzur na thi

sochta hun sar-e-bazar kahan jaun main

parsa KHwab sabhi us ke tasarruf mein rahe

raat bhi ho gai badkar kahan jaun main

koi manzil teri niyyat se kabhi raushan ho

ai mere qafila-salar kahan jaun main

ek jhanDe hain sabhi rang juda hain un ke

kaun hai kis ka alam-dar kahan jaun main

jitne munkir the tere sare farishte nikle

ek main tera gunahgar kahan jaun main

main kinare pe khaDa soch raha hun 'KHurshid'

naw ke sath hai manjdhaar kahan jaun main

(317) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shahr Ka Shahr Hai Be-zar Kahan Jaun Main In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Shahr Ka Shahr Hai Be-zar Kahan Jaun Main is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Shahr Ka Shahr Hai Be-zar Kahan Jaun Main for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Shahr Ka Shahr Hai Be-zar Kahan Jaun Main in PDF.