Bhiga Mausam

us ne kaha tha chhoTi si farmaish hai!

main ne kaha tha bholi-bhaali KHwahish hai!

us ne kaha tha ruh mein KHarish hoti hai

main ne kaha tha jismon ki sazish hoti hai

us ne kaha tha baadal kale hote hain

main ne kaha tha bijli gori hoti hai!

is ne kaha tha jab donon Takraate hain!!

main ne kaha tha phir to barish hoti hai!!!!

us ne kaha tha barish mein chhinTe paDte hain

main ne kaha tha kapDe bhi gile hote hain

is ne kaha tha bhigne wala hai mausam

main ne kaha bhag nahin paenge ham!!

sara aalam bhig raha tha barish mein

apne apne zarf mein, apni KHwahish mein

sharabor the hum donon rafta rafta

andar bahar bhig gae jasta jasta

jazbon ka sabun, ehsas ka pani tha

barish ke do bhige tan par

dhup utarne wali thi

dhula dhula fitrat ka sara manzar tha

par phailae

do panchhi be-sudh the

ghaib ki masti mein!!

sunte hain:

phir aag lagi thi basti mein!!!!

(334) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhiga Mausam In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Bhiga Mausam is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Bhiga Mausam for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Bhiga Mausam in PDF.