Nama-e-ishq Hai KHuda Ke Nam

main bhi anjaan tha

tum bhi anjaan the

log hairan the

ishq aasan tha

ishq aasan tha

us ki uftad mushkil

na thi is qadar

abr ki chhanw mein

yun chale ja rahe

the nae ham-safar

us ke aage magar

the ajab silsile

phir kaDe kos the

phir kaThin thi Dagar

dur tak be-karan

reg-e-sahra thi phaili hui

aisi aandhi chali

main bhi tha be-aman

tum bhi the dar-ba-dar

log the be-KHabar

ishq hairan tha

main kahin kho gaya

tum kahin ja base

phul khilte rahe

log milte rahe

par na mil pae hum

ai mere ham-safar phir na kahna kabhi

ishq aasan tha ishq aasan hai

waqt apne kiye par pasheman tha

kab pasheman hai

han wo apna KHuda jo nigahban tha

wo nigahban hai

(280) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nama-e-ishq Hai KHuda Ke Nam In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Nama-e-ishq Hai KHuda Ke Nam is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Nama-e-ishq Hai KHuda Ke Nam for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Nama-e-ishq Hai KHuda Ke Nam in PDF.