Sirf Shabnam Se Nahin Bujhti Pyas

phul ne ishq kiya titli se

aur titli thi ki manDraati rahi

jaane kya soch ke ghabraati rahi

sochte sochte rafta rafta

zanu-e-gul pe magar baiTh gai

jine marne ki bhi khai qasmen

phir uDi lauT ke aai na kabhi

ek din aisa hua

dast-e-gul-chin mein wahi qaid hui

ek sayyaad ki wo said hui

aur phir sainkaDon minnat ke baad

faDfaDati rahi aazad hui

ab to wo bagh mein

jaane se bahut Darti hai

gul pe marti thi

ab bhi marti hai

ek taraf phul hai pazhmurda udas

sirf shabnam se nahin bujhti pyas

(273) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sirf Shabnam Se Nahin Bujhti Pyas In English By Famous Poet Khursheed Akbar. Sirf Shabnam Se Nahin Bujhti Pyas is written by Khursheed Akbar. Read famous Poem Sirf Shabnam Se Nahin Bujhti Pyas for youth and Student by Khursheed Akbar. Free Download Sirf Shabnam Se Nahin Bujhti Pyas in PDF.