Mere Haal Se Nahin Be-KHabar Mera Kuza-gar

mere haal se nahin be-KHabar mera kuza-gar

ki hai shah-rag se qarib-tar mera kuza-gar

kabhi baKHsh de mere KHadd-o-KHal ko tazgi

kabhi noch le mere baal-o-par mera kuza-gar

kahin jaan-e-jaan kahin mehrban kahin raaz-dan

kahin nukta-bin kahin nukta-war mera kuza-gar

meri KHubiyon meri KHamiyon se hai be-KHabar

nahin be-basar nahin kam-nazar mera kuza-gar

mera aaina kabhi sang-o-KHisht mein Dhaal de

kabhi toD de mujhe joD kar mera kuza-gar

mujhe aise lagta hai mere jism ki KHak ko

abhi aur rakkhega chaak par mera kuza-gar

mujhe raston ki saubaton se nahin KHatar

mere sath hai mera ham-safar mera kuza-gar

wahi zaKHm de wahi zaKHm-e-dil ki dawa kare

mera mehrban mera chaara-gar mera kuza-gar

(429) Peoples Rate This

Khursheed Beg Malesvi's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Mere Haal Se Nahin Be-KHabar Mera Kuza-gar In English By Famous Poet Khursheed Beg Malesvi. Mere Haal Se Nahin Be-KHabar Mera Kuza-gar is written by Khursheed Beg Malesvi. Read famous Poem Mere Haal Se Nahin Be-KHabar Mera Kuza-gar for youth and Student by Khursheed Beg Malesvi. Free Download Mere Haal Se Nahin Be-KHabar Mera Kuza-gar in PDF.