Aks Ne Mere Rulaya Hai Mujhe

aks ne mere rulaya hai mujhe

koi apna nazar aaya hai mujhe

pesh-e-aina bahut sochta hun

kis liye us ne banaya hai mujhe

kis liye wusat-e-sahra de kar

tang galiyon mein phiraya hai mujhe

kis liye mere hi sehn-e-jaan mein

misl-e-diwar uThaya hai mujhe

main kahin aur ka rahne wala

gham kahan khinch ke laya hai mujhe

jis mein us chhanw ki yaad aa jae

ab to wo dhup bhi saya hai mujhe

nigah-e-naz se kyunkar puchhun

kyun nigahon se giraya hai mujhe

hath mein le ke gireban mera

dil ne dil bhar ke sataya hai mujhe

saKHt hairan hun sar-e-koh-e-nida

kaun tha kis ne bulaya hai mujhe

(392) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks Ne Mere Rulaya Hai Mujhe In English By Famous Poet Khursheed Rizvi. Aks Ne Mere Rulaya Hai Mujhe is written by Khursheed Rizvi. Read famous Poem Aks Ne Mere Rulaya Hai Mujhe for youth and Student by Khursheed Rizvi. Free Download Aks Ne Mere Rulaya Hai Mujhe in PDF.