Subh Se Chaak Bhi Ho Daman-e-shab Zid Hai Use

subh se chaak bhi ho daman-e-shab zid hai use

ain matam mein saje bazm-e-tarab zid hai use

KHud har ek baat se waqif hai magar auron ko

kuchh nahin jaanne deta ye ajab zid hai use

us ko sab ek hai yun dard-o-sukun wasl-o-firaq

han magar meri tamanna ke sabab zid hai use

baat apnon ki pakaD le to kahan chhoDta hai

darguzar ghair se farmae to kab zid hai use

sar agar KHam hai to mahfuz KHam-e-tegh se hai

aur agar zer-e-sipar hai to ghazab zid hai use

sun ke qasid ne kaha meri dalilen 'KHurshid'

KHair pahle jo nahin bhi thi to ab zid hai use

(348) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Subh Se Chaak Bhi Ho Daman-e-shab Zid Hai Use In English By Famous Poet Khursheed Rizvi. Subh Se Chaak Bhi Ho Daman-e-shab Zid Hai Use is written by Khursheed Rizvi. Read famous Poem Subh Se Chaak Bhi Ho Daman-e-shab Zid Hai Use for youth and Student by Khursheed Rizvi. Free Download Subh Se Chaak Bhi Ho Daman-e-shab Zid Hai Use in PDF.