Yun To Wo Shakl Kho Gai Gardish-e-mah-o-sal Mein

yun to wo shakl kho gai gardish-e-mah-o-sal mein

phul hai ek khila hua hashiya-e-KHayal mein

ab bhi wo ru-e-dil-nashin zard sahi hasin to hai

jaise jabin-e-aftab marhala-e-zawal mein

ab bhi wo mere ham-safar hain rawish-e-KHayal par

ab wo nasha hai hijr mein tha jo kabhi visal mein

un ke KHiram-e-naz ko bu-gul-o-saba kaha

hum ne misal di magar rang na tha misal mein

ahl-e-sitam ke dil mein hai kya mere karb ka hisab

un ko KHabar nahin ki main mast hun apne haal mein

kaisa pahaD ho gaya waqt guzarna mujhe

zaKHm pe jam gai nazar KHwahish-e-indimal mein

tu ne mere KHamir mein kitne tazad rakh diye

maut meri hayat mein naqs mere kamal mein

(644) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun To Wo Shakl Kho Gai Gardish-e-mah-o-sal Mein In English By Famous Poet Khursheed Rizvi. Yun To Wo Shakl Kho Gai Gardish-e-mah-o-sal Mein is written by Khursheed Rizvi. Read famous Poem Yun To Wo Shakl Kho Gai Gardish-e-mah-o-sal Mein for youth and Student by Khursheed Rizvi. Free Download Yun To Wo Shakl Kho Gai Gardish-e-mah-o-sal Mein in PDF.