Tumhaare Dard Ko Suraj Kaha Hai

tumhaare dard ko suraj kaha hai

naya uslub ghazlon ko diya hai

sahar ke raste mein sar uThae

andheron ka wahi parbat khaDa hai

bahut kuchh jo kitabon mein nahin tha

wo chehron ki lakiron mein paDha hai

koi wahshat-zada zaKHmi irada

tabassum ban ke lahraata raha hai

batao nam bhi hai kuchh tumhaara

mera saya mujhi se puchhta hai

mujhe apna samajh kar zindagi ne

KHud apne aap ko dhoka diya hai

dar-o-diwar se har roz 'jami'

wahi be-rang afsana suna hai

(336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tumhaare Dard Ko Suraj Kaha Hai In English By Famous Poet Khurshid Ahmad Jami. Tumhaare Dard Ko Suraj Kaha Hai is written by Khurshid Ahmad Jami. Read famous Poem Tumhaare Dard Ko Suraj Kaha Hai for youth and Student by Khurshid Ahmad Jami. Free Download Tumhaare Dard Ko Suraj Kaha Hai in PDF.