Ek AaKHiri Bosa

rishton ki bukarat bachane mein

mohabbat kaam aa gai to kya

malul na ho

mohabbat aur duniya ke darmiyan

ye rishta kanch aur patthar ka

yun hi bana rahega

aain to yahi Thahra hai ki

fath ka parcham duniya hi lahraegi

aur mohabbat

zamin ki tah mein chhup kar intizar karegi

duniya ke fasil ban jaane ka

tu pashiman na ho

apne paiman ko manind-e-habab TuTta dekh kar

aao mohabbat ke KHuda ka shukriya ada karen

aur ek aaKHiri bose ko mahfuz kar ke

apne apne kechuon ki bhiD mein kho jaen

yun ki DhunDen to

apna bhi pata na paen

(383) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek AaKHiri Bosa In English By Famous Poet Khurshid Akram. Ek AaKHiri Bosa is written by Khurshid Akram. Read famous Poem Ek AaKHiri Bosa for youth and Student by Khurshid Akram. Free Download Ek AaKHiri Bosa in PDF.