Ye Mera KHwab Nahin

udasi ki jhilmil jhil ke par

main ne dekha

tumhaari lal chuDiyan sabz hansi hans rahi thin

os ki ek qurmuzi bund

tumhaari peshani par damak rahi thi

KHush-KHwabi ke naKHunon se tum

andeshon ki girhen khol rahi thin

chand ki nami se

imkan ke be-kanar panne par

kuchh likh rahi thin tumhaari ungliyan

aur tumhaare panw ke niche

dharti ki jhanjhan baj rahi thi

aur ye mera wahm nahin

ki prithwi par kahin jab chand

ek bachche ke sath dauD raha tha

tum hawa se apna hath chhuDa kar

ek saji hui chaukhaT mein daKHil

ho gai thin

aur ye mera KHwab nahin

ki suraj jab

aadhe aasman mein chamak raha tha

apni chuDiyan apni bundi

apne andeshe apni ungliyan

apne hath aur apne honT

sab utar kar

tum ne

aankh se aankh jalai thi

jalti batti bujhai thi

(470) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Mera KHwab Nahin In English By Famous Poet Khurshid Akram. Ye Mera KHwab Nahin is written by Khurshid Akram. Read famous Poem Ye Mera KHwab Nahin for youth and Student by Khurshid Akram. Free Download Ye Mera KHwab Nahin in PDF.