Jab Aaftab Ghar Pe Bulaya Tha Sham Ne

jab aaftab ghar pe bulaya tha sham ne

kya kya diye the jin ko jalaya tha sham ne

kya kya KHushi thi wada-e-mah-e-tamam ki

ghar ko bhisht-zar banaya tha sham ne

kya kya the KHwab raat jo tabir ho gae

kya kya dilon mein hashr uThaya tha sham ne

kya kya uDi thi gardish-e-dauran ke dil mein KHak

jab ratjage se hath milaya tha sham ne

kya kya guman mahakne lage the pas-e-KHayal

jab muskura ke jam uThaya tha sham ne

kya kya sahar ne phul khilae pas--e-shafaq

kya kya dayar-e-shab ko sajaya tha sham ne

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Aaftab Ghar Pe Bulaya Tha Sham Ne In English By Famous Poet Khurshid Rabbani. Jab Aaftab Ghar Pe Bulaya Tha Sham Ne is written by Khurshid Rabbani. Read famous Poem Jab Aaftab Ghar Pe Bulaya Tha Sham Ne for youth and Student by Khurshid Rabbani. Free Download Jab Aaftab Ghar Pe Bulaya Tha Sham Ne in PDF.