Suraj Ne Jab Shab Ka Labaada Pahan Liya Tha

suraj ne jab shab ka labaada pahan liya tha

har ek shai ne apna saya pahan liya tha

apna uryan jism chhupane ki koshish mein

tez hawa ne patta patta pahan liya tha

matami kapDe pahan liye the meri zamin ne

aur falak ne chand sitara pahan liya tha

sara shahr sharik hua tha us ke dukh mein

jis din us ne gham ka lamha pahan liya tha

mayusi ke aalam mein bhi ai 'KHurshid'

hum ne ek umid ka rasta pahan liya tha

(470) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Suraj Ne Jab Shab Ka Labaada Pahan Liya Tha In English By Famous Poet Khurshid Rabbani. Suraj Ne Jab Shab Ka Labaada Pahan Liya Tha is written by Khurshid Rabbani. Read famous Poem Suraj Ne Jab Shab Ka Labaada Pahan Liya Tha for youth and Student by Khurshid Rabbani. Free Download Suraj Ne Jab Shab Ka Labaada Pahan Liya Tha in PDF.