Badan Hai Sabz Aur Shadab Lekin Ruh Pyasi Hai

badan hai sabz aur shadab lekin ruh pyasi hai

mere andar hazaron banjh peDon ki udasi hai

kisi ke dil se ab jazbaat ka rishta nahin qaem

hansi bhi maslahat-amez aansu bhi siyasi hai

pae-izhaar kuchh aisa nahin hai jo anokha ho

har ek jazba purana hai har ek ehsas basi hai

hamein har waqt ye ehsas daman-gir rahta hai

paDe hain Dher sare kaam aur mohlat zara si hai

simaT kar rah gai hai wusat-e-duniya hatheli bhar

hamara masala ab bhi hamari KHud-shanasi hai

laga hun main 'talab' is sach ko jhuTlane mein barson se

main kal aaqa tha jis ka ab mere beTe ki dasi hai

(341) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Badan Hai Sabz Aur Shadab Lekin Ruh Pyasi Hai In English By Famous Poet Khurshid Talab. Badan Hai Sabz Aur Shadab Lekin Ruh Pyasi Hai is written by Khurshid Talab. Read famous Poem Badan Hai Sabz Aur Shadab Lekin Ruh Pyasi Hai for youth and Student by Khurshid Talab. Free Download Badan Hai Sabz Aur Shadab Lekin Ruh Pyasi Hai in PDF.