PalaT Ke Jaanib-e-ahl-o-ayal Dekhta Hun

palaT ke jaanib-e-ahl-o-ayal dekhta hun

kabhi jab apne lahu mein ubaal dekhta hun

hanuz kuchh bhi badalta nazar nahin aata

hujum dekhta hun ishtial dekhta hun

shikast-o-reKHt se mujh ko guzarta hai wahi

isi ke chehre pe gard-e-malal dekhta hun

sab ek dhund liye phir rahe hain aankhon mein

kisi ke chehre pe mazi na haal dekhta hun

laga hua hun usi rang ko ubhaarne mein

abhi ghazal mein jise KHal KHal dekhta hun

tamam surat-e-haalat inqilabi hai

falak shikasta zamin paemal dekhta hun

mujhe sameT ke rakhta hai kitni der 'talab'

kisi ke husn-e-nazar ka kamal dekhta hun

(495) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

PalaT Ke Jaanib-e-ahl-o-ayal Dekhta Hun In English By Famous Poet Khurshid Talab. PalaT Ke Jaanib-e-ahl-o-ayal Dekhta Hun is written by Khurshid Talab. Read famous Poem PalaT Ke Jaanib-e-ahl-o-ayal Dekhta Hun for youth and Student by Khurshid Talab. Free Download PalaT Ke Jaanib-e-ahl-o-ayal Dekhta Hun in PDF.