Ye Junun Ke Marke Itne Nahin Aasan Bhi

ye junun ke marke itne nahin aasan bhi

soch lena is mein ja sakti hai teri jaan bhi

raushni bhi chahiye taza hawa ke sath sath

khiDkiyan rakhta hun apne ghar mein roshan-dan bhi

zindagi mein jo tumhein KHud se ziyaada the aziz

un se milne kya kabhi jate ho qabristan bhi

ganw ki pagDanDiyan pakki saDak se ja milin

tang galiyon mein badal kar rah gae maidan bhi

pasban-e-aql ne to mujh ko samjhaya bahut

tha magar pahlu mein mere dil sa ek nadan bhi

KHushk hain dariya samundar kaT gae jangal tamam

ret se KHali hue jate hain registan bhi

mere lafzon ke ujale mand paDte jaenge

dhund mein kho jaegi ek din meri pahchan bhi

KHud ko kaise qatl hone se bachata mein 'talab'

raat mere ghar mein ek qatil tha aur mehman bhi

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Junun Ke Marke Itne Nahin Aasan Bhi In English By Famous Poet Khurshid Talab. Ye Junun Ke Marke Itne Nahin Aasan Bhi is written by Khurshid Talab. Read famous Poem Ye Junun Ke Marke Itne Nahin Aasan Bhi for youth and Student by Khurshid Talab. Free Download Ye Junun Ke Marke Itne Nahin Aasan Bhi in PDF.