Jo Shab Ko Manzar-e-shab Tab Mein Tabdil Karte Hain

jo shab ko manzar-e-shab tab mein tabdil karte hain

wo lamhe nind ko bhi KHwab mein tabdil karte hain

jo aansu dard ki gahraiyon mein Dub jate hain

wahi aankhon ko bhi girdab mein tabdil karte hain

kisi jugnu ko hum jab raat ki zinat banate hain

zara si raushni mahtab mein tabdil karte hain

agar mil kar baras jaen yahi bikhre hue baadal

to phir sahraon ko sailab mein tabdil karte hain

jo mumkin ho to un bhule hue lamhat se bachna

jo aksar KHun ko zahrab mein tabdil karte hain

yahi qatre banate hain kabhi to ghas par moti

kabhi shabnam ko ye simab mein tabdil karte hain

kahin dekhi nahin ai 'shad' hum ne aisi KHush-haali

chalo is mulk ko punjab mein tabdil karte hain

(358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Shab Ko Manzar-e-shab Tab Mein Tabdil Karte Hain In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Jo Shab Ko Manzar-e-shab Tab Mein Tabdil Karte Hain is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Jo Shab Ko Manzar-e-shab Tab Mein Tabdil Karte Hain for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Jo Shab Ko Manzar-e-shab Tab Mein Tabdil Karte Hain in PDF.