Koi Nahin Tha Mere Muqabil Bhi Main Hi Tha

koi nahin tha mere muqabil bhi main hi tha

shayad ki apni rah mein hail bhi main hi tha

apne hi gird main ne kiya umr bhar safar

bhaTkaya mujh ko jis ne wo manzil bhi main hi tha

ubhra hun jin se bar-ha mujh mein the sab bhanwar

Duba jahan pahunch ke wo sahil bhi main hi tha

aasan nahin tha sazishen karna mere KHilaf

jab apni aarzuon ka qatil bhi main hi tha

shab bhar har ek KHayal muKHatib mujhi se tha

tanhaiyon mein raunaq-e-mahfil bhi main hi tha

duniya se be-niyazi bhi fitrat meri hi thi

duniya ke ranj o dard mein shamil bhi main hi tha

mujh ko samajh na pai meri zindagi kabhi

aasaniyan mujhi se thin mushkil bhi main hi tha

mujh mein tha KHair o shar ka ajab imtizaj 'shad'

main KHud hi haq-parast tha baatil bhi main hi tha

(617) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Koi Nahin Tha Mere Muqabil Bhi Main Hi Tha In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Koi Nahin Tha Mere Muqabil Bhi Main Hi Tha is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Koi Nahin Tha Mere Muqabil Bhi Main Hi Tha for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Koi Nahin Tha Mere Muqabil Bhi Main Hi Tha in PDF.