Ragon Mein Zahr-e-KHamoshi Utarne Se Zara Pahle

ragon mein zahr-e-KHamoshi utarne se zara pahle

bahut taDpi koi aawaz marne se zara pahle

zara si baat hai kab yaad hogi in hawaon ko

main ek paikar tha zarron mein bikharne se zara pahle

main ashkon ki tarah is dard ko bhi zabt kar leta

mujhe aagah to karta ubharne se zara pahle

koi suraj se ye puchhe ki kya mahsus hota hai

bulandi se nashebon mein utarne se zara pahle

kahin taswir ruswa kar na de mere tasawwur ko

musawwir soch mein hai rang bharne se zara pahle

suna hai waqt kuchh KHush-rang lamhe le ke guzra hai

mujhe bhi 'shad' kar jata guzarne se zara pahle

(335) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ragon Mein Zahr-e-KHamoshi Utarne Se Zara Pahle In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Ragon Mein Zahr-e-KHamoshi Utarne Se Zara Pahle is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Ragon Mein Zahr-e-KHamoshi Utarne Se Zara Pahle for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Ragon Mein Zahr-e-KHamoshi Utarne Se Zara Pahle in PDF.