Sham Tak Phir Rang KHwabon Ka Bikhar Jaega Kya

sham tak phir rang KHwabon ka bikhar jaega kya

raegan hi aaj ka din bhi guzar jaega kya

DhunDna hai ghup-andhere mein mujhe ek shaKHs ko

puchhna suraj zara mujh mein utar jaega kya

manta hun ghuT raha hai dam tera is habs mein

gar yahi jine ki surat hai to mar jaega kya

ain mumkin hai baja hon tere andeshe magar

dekh kar ab apne sae ko bhi Dar jaega kya

soch le parwaz se pahle zara phir soch le

sath le kar ye shikasta baal-o-par jaega kya

ek hijrat jism ne ki ek hijrat ruh ne

itna gahra zaKHm aasani se bhar jaega kya

(386) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Sham Tak Phir Rang KHwabon Ka Bikhar Jaega Kya In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Sham Tak Phir Rang KHwabon Ka Bikhar Jaega Kya is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Sham Tak Phir Rang KHwabon Ka Bikhar Jaega Kya for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Sham Tak Phir Rang KHwabon Ka Bikhar Jaega Kya in PDF.