Ye Tum Har Baat Lafzon Ki Zabani Kyun Samajhte Ho

ye tum har baat lafzon ki zabani kyun samajhte ho

sukut-e-lab ko aaKHir be-maani kyun samajhte ho

ye mumkin hai yahin tak ho tumhaari tab-e-binai

nazar ki had ko aaKHir be-karani kyun samajhte ho

agar sach hai tumhaari maut ka ek din muayyan hai

to phir is tai-shuda ko na-gahani kyun samajhte ho

yaqin rakkho samundar ki saKHawat par yaqin rakkho

hamesha KHali hath aaega pani kyun samajhte ho

ye mumkin hai tumhaara aks hi barham ho chehre se

ise tum aaine ki sargirani kyun samajhte ho

mere ashaar mein jo dard ki shiddat hai meri hai

mere ehsas ko apni kahani kyun samajhte ho

yahan zahir ka chehra muKHtalif hota hai baatin se

khili rangat ko dil ki shadmani kyun samajhte ho

(398) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Tum Har Baat Lafzon Ki Zabani Kyun Samajhte Ho In English By Famous Poet Khushbir Singh Shaad. Ye Tum Har Baat Lafzon Ki Zabani Kyun Samajhte Ho is written by Khushbir Singh Shaad. Read famous Poem Ye Tum Har Baat Lafzon Ki Zabani Kyun Samajhte Ho for youth and Student by Khushbir Singh Shaad. Free Download Ye Tum Har Baat Lafzon Ki Zabani Kyun Samajhte Ho in PDF.