Bujhaen Pyas Kahan Ja Ke Tere Mastane

bujhaen pyas kahan ja ke tere mastane

jo saqiya dar-e-mai-KHana tu na baz kare

nahin wo lazzat-e-azar-e-ishq se aagah

sitam mein aur karam mein jo imtiyaz kare

unhin ke husn se hai garm ishq ka bazar

dua KHuda se hai umr-e-butan daraaz kare

KHuda ka nam bhi lo bazuon se kaam bhi lo

tu fikr-e-kar-e-KHudawand-e-kar-saz kare

hawa-o-hirs se 'nazir' rahe jo pak nazar

to ham-sari na haqiqat ki kyun majaz kare

(363) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bujhaen Pyas Kahan Ja Ke Tere Mastane In English By Famous Poet Khushi Mohammad Naazir. Bujhaen Pyas Kahan Ja Ke Tere Mastane is written by Khushi Mohammad Naazir. Read famous Poem Bujhaen Pyas Kahan Ja Ke Tere Mastane for youth and Student by Khushi Mohammad Naazir. Free Download Bujhaen Pyas Kahan Ja Ke Tere Mastane in PDF.