Jag Mein Koi Na Tuk Hansa Hoga

jag mein koi na Tuk hansa hoga

ki na hanste mein ro diya hoga

un ne qasdan bhi mere nale ko

na suna hoga gar suna hoga

dekhiye ab ke gham se ji mera

na bachega bachega kya hoga

dil zamane ke hath se salim

koi hoga jo rah gaya hoga

haal mujh gham-zada ka jis tis ne

jab suna hoga ro diya hoga

dil ke phir zaKHm taza hote hain

kahin ghuncha koi khila hoga

yak-ba-yak nam le uTha mera

ji mein kya us ke aa gaya hoga

mere nalon pe koi duniya mein

bin kiye aah kam raha hoga

lekin us ko asar KHuda jaane

na hua hoga ya hua hoga

qatl se mere wo jo baz raha

kisi bad-KHwah ne kaha hoga

dil bhi ai 'dard' qatra-e-KHun tha

aansuon mein kahin gira hoga

(1442) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jag Mein Koi Na Tuk Hansa Hoga In English By Famous Poet Khwaja Meer Dard. Jag Mein Koi Na Tuk Hansa Hoga is written by Khwaja Meer Dard. Read famous Poem Jag Mein Koi Na Tuk Hansa Hoga for youth and Student by Khwaja Meer Dard. Free Download Jag Mein Koi Na Tuk Hansa Hoga in PDF.