Madrasa Ya Dair Tha Ya Kaba Ya But-KHana Tha

madrasa ya dair tha ya kaba ya but-KHana tha

hum sabhi mehman the wan tu hi sahab-KHana tha

wae nadani ki waqt-e-marg ye sabit hua

KHwab tha jo kuchh ki dekha jo suna afsana tha

haif! kahte hain hua gulzar taraj-e-KHizan

aashna apna bhi wan ek sabza-e-begana tha

ho gaya mehman-sara-e-kasrat-e-mauhum aah

wo dil-e-KHali ki tera KHas KHalwat-KHana tha

bhul ja KHush rah abas we sabiaqe mat yaad kar

'dard'! ye mazkur kya hai aashna tha ya na tha

(1325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Madrasa Ya Dair Tha Ya Kaba Ya But-KHana Tha In English By Famous Poet Khwaja Meer Dard. Madrasa Ya Dair Tha Ya Kaba Ya But-KHana Tha is written by Khwaja Meer Dard. Read famous Poem Madrasa Ya Dair Tha Ya Kaba Ya But-KHana Tha for youth and Student by Khwaja Meer Dard. Free Download Madrasa Ya Dair Tha Ya Kaba Ya But-KHana Tha in PDF.