Milaun Kis Ki Aankhon Se Main Apni Chashm-e-hairan Ko

milaun kis ki aankhon se main apni chashm-e-hairan ko

ayan jab har jagah dekhun usi ke naz-e-pinhan ko

tujhe ai shama kya dekhen zamane ko dikhana hai

hamein jun kaghaz-e-atish-zada aur hi charaghan ko

na tanha kuchh yahi atfal dushman hain diwanon ke

bhare hai koh bhi dekha to yan pattharon se daman ko

jhamakte hain sitaron ki tarah suraKH hasti ke

chhupaya go ki jun KHurshid mein dagh-e-numayan ko

na wajib hi kaha jawe na sadiq mumtana us par

kiya tashKHis kuchh hum ne na hargiz shaKHs-e-imkan ko

(1146) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Milaun Kis Ki Aankhon Se Main Apni Chashm-e-hairan Ko In English By Famous Poet Khwaja Meer Dard. Milaun Kis Ki Aankhon Se Main Apni Chashm-e-hairan Ko is written by Khwaja Meer Dard. Read famous Poem Milaun Kis Ki Aankhon Se Main Apni Chashm-e-hairan Ko for youth and Student by Khwaja Meer Dard. Free Download Milaun Kis Ki Aankhon Se Main Apni Chashm-e-hairan Ko in PDF.