Tujhi Ko Jo Yan Jalwa-farma Na Dekha

tujhi ko jo yan jalwa-farma na dekha

barabar hai duniya ko dekha na dekha

mera ghuncha-e-dil hai wo dil girafta

ki jis ko kisu ne kabhu wa na dekha

yagana hai tu aah beganagi mein

koi dusra aur aisa na dekha

aziyyat musibat malamat balaen

tere ishq mein hum ne kya kya na dekha

kiya muj ko daghon ne sarw-e-charaghan

kabhu tu ne aa kar tamasha na dekha

taghaful ne tere ye kuchh din dikhae

idhar tu ne lekin na dekha na dekha

hijab-e-ruKH-e-yar the aap hi hum

khuli aankh jab koi parda na dekha

shab o roz ai 'dard' dar pe hun us ke

kisu ne jise yan na samjha na dekha

(1643) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tujhi Ko Jo Yan Jalwa-farma Na Dekha In English By Famous Poet Khwaja Meer Dard. Tujhi Ko Jo Yan Jalwa-farma Na Dekha is written by Khwaja Meer Dard. Read famous Poem Tujhi Ko Jo Yan Jalwa-farma Na Dekha for youth and Student by Khwaja Meer Dard. Free Download Tujhi Ko Jo Yan Jalwa-farma Na Dekha in PDF.