Zindagi Bhar To Sada Jabr Sahe Sabr Kiye

zindagi bhar to sada jabr sahe sabr kiye

maut ke baad mujhe kya jo meri qabr jiye

kholte lawe ke manind ubalta hai dimagh

jab ye haalat ho to kab tak koi honTon ko siye

jism zaKHmi ho to sina bhi use mumkin hai

ruh par zaKHm lage hon to unhen kaun siye

rah-rau rah mein kiDon ki tarah rengte rahen

rahbar unchi hawaon mein hain palkon ko siye

wo agar chahen to taqdir badal sakti hai

par nahin un ko gharaz koi mare koi jiye

raushni dur bahut dur hai phir bhi hum se

jagmagate hain ufuq-ta-ba-ufuq lakhon diye

kaise zinda hun abhi tak nahin samjha KHud bhi

zaKHm khae hain bahut main ne bahut zahr piye

(486) Peoples Rate This

Khwaja Mohammad Zakariya's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Zindagi Bhar To Sada Jabr Sahe Sabr Kiye In English By Famous Poet Khwaja Mohammad Zakariya. Zindagi Bhar To Sada Jabr Sahe Sabr Kiye is written by Khwaja Mohammad Zakariya. Read famous Poem Zindagi Bhar To Sada Jabr Sahe Sabr Kiye for youth and Student by Khwaja Mohammad Zakariya. Free Download Zindagi Bhar To Sada Jabr Sahe Sabr Kiye in PDF.