Hukumat Hai Na Shaukat Hai Na Izzat Hai Na Daulat Hai

hukumat hai na shaukat hai na izzat hai na daulat hai

hamare pas ab le-de ke baqi bas saqafat hai

gine jate hain jo dahliz ke bujhte charaghon mein

unhen aiwan ki mehrab mein jalne ki aadat hai

chalo KHairaat na milti koi khiDki hi khul jati

faqiron ko mohalle se bas itni si shikayat hai

bharam donon ka qaem hai ada-e-be-niyazi se

zamana puchhta kab hai hamari kya zarurat hai

kisi manzil pe hum ko mustaqil rahne nahin deta

na jaane waqt ko hum be-gharon se kya shikayat hai

zaban-bandi to pahle thi ba-hukm-e-sahib-e-alam

nigahon ko bhi ab KHamosh rahne ki hidayat hai

(355) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hukumat Hai Na Shaukat Hai Na Izzat Hai Na Daulat Hai In English By Famous Poet Khwaja Rabbani. Hukumat Hai Na Shaukat Hai Na Izzat Hai Na Daulat Hai is written by Khwaja Rabbani. Read famous Poem Hukumat Hai Na Shaukat Hai Na Izzat Hai Na Daulat Hai for youth and Student by Khwaja Rabbani. Free Download Hukumat Hai Na Shaukat Hai Na Izzat Hai Na Daulat Hai in PDF.