Zulmaton Mein Jite Hain, Raushni Ke Mare Hain

zulmaton mein jite hain, raushni ke mare hain

ek hi qabile ke chand aur sitare hain

ratjagon ke sathi hain, ashk, aahaTen, KHushbu

bas yahin kahin tu hai ya bharam hamare hain

aaj tak to rasman bhi tu ne ye nahin puchha

hum ne teri furqat mein kaise din guzare hain

us ne mere pahlu mein jhank kar nahin dekha

choT kitni gahri hai zaKHm kitne sare hain

Tahniyon ki zinat the suliyon pe laTke hain

KHushk zard patte jo mausamon ke mare hain

hum ne apne purkhon ke ehtiram ki KHatir

farz bhi nibhaya hai, qarz bhi utare hain

main to ek musafir hun mera kaam hai chalna

manzilen tumhaari hain raste tumhaare hain

dil se tai to ho jae sath kis ke jaana hai

raste nikalne ko yun to Dher sare hain

hum ne kal zamane ko raushni dikhai hai

aaj hum zamane ki raushni ke mare hain

(374) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zulmaton Mein Jite Hain, Raushni Ke Mare Hain In English By Famous Poet Khwaja Sajid. Zulmaton Mein Jite Hain, Raushni Ke Mare Hain is written by Khwaja Sajid. Read famous Poem Zulmaton Mein Jite Hain, Raushni Ke Mare Hain for youth and Student by Khwaja Sajid. Free Download Zulmaton Mein Jite Hain, Raushni Ke Mare Hain in PDF.