Aapka Jab Se Aana Hua

aapka jab se aana hua

KHushnuma aashiyana hua

un ki baaten ghazal ho gain

apna dil shairana hua

raat ki kya kahen raat bhar

un ka KHwabon mein aana hua

ishq kije to mat sochiye

kis gali aana jaana hua

dil ka panchhi wahin jaega

jis jagah aab-o-dana hua

jis ke bin ek pal bojh tha

us ko dekhe zamana hua

qad se saya baDa ho gaya

sham ka jiyun jiyun aana hua

chain ek pal nahin hai 'ratan'

jab se dil ka lagana hua

(344) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aapka Jab Se Aana Hua In English By Famous Poet Kirti Ratan Singh. Aapka Jab Se Aana Hua is written by Kirti Ratan Singh. Read famous Poem Aapka Jab Se Aana Hua for youth and Student by Kirti Ratan Singh. Free Download Aapka Jab Se Aana Hua in PDF.