Apne Lahu Se Nam Likha Ghair Ka Bhi Dekh

apne lahu se nam likha ghair ka bhi dekh

zinda hai to shaqawat-e-dasht-e-bala bhi dekh

aankhon ke aainon ka to pani utar gaya

ab jism chob-e-KHushk hai ye saneha bhi dekh

hoti hai zindagi ki hararat ragon mein sard

sukhe hue badan pe ye chamDa kasa bhi dekh

betabiyon ko sine ke andar sameT le

fitne ko apni had se musalsal baDha bhi dekh

har zarra ibraton ke samundar ki shakl hai

sahra-naward-e-shauq kabhi naqsh-e-pa bhi dekh

pahchan apni ho to mile manzil-e-murad

'nahid' gahe gahe sahi aaina bhi dekh

(376) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Lahu Se Nam Likha Ghair Ka Bhi Dekh In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Apne Lahu Se Nam Likha Ghair Ka Bhi Dekh is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Apne Lahu Se Nam Likha Ghair Ka Bhi Dekh for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Apne Lahu Se Nam Likha Ghair Ka Bhi Dekh in PDF.