Girya, Mayusi, Gham-e-tark-e-wafa Kuchh Na Raha

girya, mayusi, gham-e-tark-e-wafa kuchh na raha

zindagi rah gai jine ka maza kuchh na raha

raushni thi to har ek shai ki haqiqat thi ayan

tirgi mein meri aankhon ke siwa kuchh na raha

pairahan rang birange nikal aae itne

nau-damida gul-e-shabbu mein chhupa kuchh na raha

kha gai KHak ko hi KHak karen kisi se gila

kya kureden ki tah-e-KHak chhapa kuchh na raha

tere milne ke Dhang bhi taslim magar

zaiqa is tarah badla ki maza kuchh na raha

kyun na ho hashr bapa dad-e-wafa kyun na mile

jab tere chahne walon ke siwa kuchh na raha

kyun na mehmanon ke kamre mein sajaen in ko

ilm ka nam kitabon ke siwa kuchh na raha

KHushbu-e-wasl tawajjoh ka wo aalam wo KHulus

Dubte chand ki aaghosh mein kya kuchh na raha

(336) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Girya, Mayusi, Gham-e-tark-e-wafa Kuchh Na Raha In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Girya, Mayusi, Gham-e-tark-e-wafa Kuchh Na Raha is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Girya, Mayusi, Gham-e-tark-e-wafa Kuchh Na Raha for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Girya, Mayusi, Gham-e-tark-e-wafa Kuchh Na Raha in PDF.