Talash Dariya Ki Thi Ba-zahir Sarab Dekha

talash dariya ki thi ba-zahir sarab dekha

wo kaun aankhen thin jin ki KHatir ye KHwab dekha

jo rut bhi aae hamin se girya ka rizq mange

hamari surat kise zamin intiKHab dekha

nadamaten bahte aansuon se sharh na paen

safina apni dua ka maqtal rikab dekha

barasti aankhon se sukhe talab bhar na paen

ye gham ka dariya misal-e-qarz-e-sahab dekha

kabhi to aankhon mein un ki aabaadiyan khilengi

wo bastiyan umr bhar jinhen zer-e-ab dekha

abhi to baKHiya-gari ko sozan hi kaam aae

hina ki dahliz pe tulu-e-hijab dekha

yaqin ki tishna-labi muqaddar raqam rahegi

wufur-e-dariya bhi misl-e-dariya-e-KHwab dekha

jata gaya sari aadaten bas gale se lag ke

us ek anjum ko chandni ke hisab dekha

KHayal us ke badan ki galiyon ko DhunDta hai

wo jis ko dekha to hairaton ko naqab dekha

(357) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Talash Dariya Ki Thi Ba-zahir Sarab Dekha In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Talash Dariya Ki Thi Ba-zahir Sarab Dekha is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Talash Dariya Ki Thi Ba-zahir Sarab Dekha for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Talash Dariya Ki Thi Ba-zahir Sarab Dekha in PDF.