AaKHiri Faisla

kanTon ki chaTTan pe khaDi

main aankhon ki suiyan nikal rahi hun

ye ilaqa kis saltanat mein shamil hai

mulukiyat meri zaban pe kanTe

halq mein phanda

aankhen bahar

shah-balut ke lambe daraKHton jaise

lambe put bahut ho gae hain

jangal mein daraKHt ziyaada ho jaen

to aag laga kar daraKHt kam kar diye jate hain

bahar nikli hui aankh se zafran ka khet

aur kaTe hue bazuon se ganne ki poriyan ban gai hain

hum ne ek jhuT bola tha na

ab sari umr us ko sach sabit karne mein guzar denge

hum ki jo zindagi bhar

apne hisse ki roTi kamane ki koshish karte hain

aur bhuke rahte hain

jhuTi aas ki chhatri tale

bulbule jaise aansu

batashon ki tarah thaal mein sajae

kab tak batlati rahogi

ki wo tumhaara qatil nahin hai

qatl mahz saniye mein

zindagi ka rishta KHatm karne ka nam nahin

maujud se inkar bhi

to qatl ke mutaradif hota hai

mera ji karta hai

wo jo sab mere qatil hain

main unhen hawa ki tarah nigal jaun

(347) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

AaKHiri Faisla In English By Famous Poet Kishwar Naheed. AaKHiri Faisla is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem AaKHiri Faisla for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download AaKHiri Faisla in PDF.