Sone Se Pahle Ek KHayal

mujhe nowember ki dhup ki tarah mat chaho

ki is mein Dubo to tamazat mein naha jao

aur is se alag ho to

ThanDak ko por por mein utarta dekho

mujhe sawan ke baadal ki tarah chaho

ki us ka saya bahut gahra

nas nas mein pyas bujhane wala

magar us ka wajud pal mein hawa

pal mein pani ka Dher

mujhe sham ki shafaq ki tarah mat chaho

ki aasman ke qurmuzi rangon ki tarah

mere gal surKH

magar lamha-bhar baad

hijr mein naha kar, raat si maili maili

mujhe chalti hawa ki tarah mat chaho

ki jis ke qayam se dam ghuTta hai

aur jis ki tez-rawi qadam ukheD deti hai

mujhe Thahre pani ki tarah mat chaho

ki main is mein kanwal ban ke nahin rah sakti hun

mujhe bas itna chaho

ki mujh mein chahe jaane ki KHwahish jag uThe!

(475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sone Se Pahle Ek KHayal In English By Famous Poet Kishwar Naheed. Sone Se Pahle Ek KHayal is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem Sone Se Pahle Ek KHayal for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download Sone Se Pahle Ek KHayal in PDF.