BataKH Aur Sanp

hiran ka ek chhoTa bachcha

dariya ke kinare aa nikla

wahan pe ek bataKH bhi thi

machhli se wo ye kahti thi

main to dariya mein nahati hun

jab chahun main uD jati hun

thak jaun main to baiTh rahun

jab chahun main sabze pe chalun

tum to dariya ki machhli ho

pani mein rahti basti ho

tum meri tarah se chal na sako

tum meri tarah hil-jul na sako

tum meri tarah se aa na sako

tum meri tarah se ja na sako

ye baat suni ek sanp ne

ghusse se laga wo kanpne

wo bola kyun majbur hai tu

kam-himmat hai majbur hai tu

yun machhli ko shaiKHi na dikha

kuchh himmat hai to samne aa

ab bol ki kya tu uDti hai

aa chil ke samne uD ke dikha

ab bol ki kya tu dauDti hai

aa KHargosh se race laga

ab bol ki kya tu tairti hai

aa tu machhli se pair mila

ab tu samjhi ab tu jaani

ye baaten hain aani-jaani

hai asal to ye kuchh kar ke dikha

duniya ye kahe kya KHub kiya

jo gur sikho pura sikho

jo kaam karo achchha hi karo

(719) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BataKH Aur Sanp In English By Famous Poet Kishwar Naheed. BataKH Aur Sanp is written by Kishwar Naheed. Read famous Poem BataKH Aur Sanp for youth and Student by Kishwar Naheed. Free Download BataKH Aur Sanp in PDF.